Mai AHSAS sochta hu phoolo mai bhe jaan hoti hai, jinhe dakh kar humari jaan bhe khush hoti hai, par aaj main ek phool ki jagah rah kar socha hai shyad sahe hai ya galat yeh faisla to mera khuda he karega. Dil k khayal or kalam roke bhe nahi rukti kya karu.
Gulab
Guzar raha tha jo main gulistaan se, to mere nain ek gulab pe padhe, Use paane ki laalsa mein mere kadam uski aur badhe. Jhuka jo use paane to ek awaz kahin se aayi, Gulab bola are main bolta hoon bhai.'Mujhe ye bata tu mujhe is daali se juda kar ke kya karega', Main bola 'are ab to tu mere mehboob ke zulfon mein sajega'.Gulab se tadapti hui phir awaaz ayi...'Aye khuda tune ye kya reet banayi',Kisi ko lubhane ke liye hi kyun hamesha logon ne meri aahuti chadayi.Main ghurRaya...'chal chal mujhe der hoti hain',Jawab mila....
'Dheere se todhna bahut takleef hoti hain'.
Gulab farmaya...
'Kya tu meri ek khwahish poora karega'.
'Mere mehboob se milta chaloonga kya thoda sa intezaar karega'.
'MerE mehboob(bhavra)ko mere hoton(pankhudiyon)se raz chura
lene de,
'Thoda intezaar kar hum do premiyon ko akhri baar ek ho jaane de.
Mujhe us pe taras aagaya...
Thodi hi der mein uska aashiq aagaya,
Chumke uske hoton ko woh laut gaya....
gulab to jaise aur jawan hogaya.AHSAS
==========================================================
Wednesday, October 14, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment